Headlines
Loading...
Saapo Ke Baare Me Janiye Adbhut 21 Facts | सांप के बारे में जानकारी

Saapo Ke Baare Me Janiye Adbhut 21 Facts | सांप के बारे में जानकारी

सांप के बारे में जानकारी

सांप के बारे में जानकारी saapo ke bare me rochak tathya and about snake in english and short note on snake and about snake in hindi

Saap rengne wale prani hote hai, aur apne jeevan me sirf reng kar hi kam karte hai.

Saapo ko do tarah ka maana jaata hai, ek jaharile hote hai to dusre prakar ke saap jaharile nahi hote hai.
Bharat me saapo ko bhay ki najar se log dekhte hai, jab bhi log saap dekhte hai to sahasa dar ke mare bhagne lagte hai.
Iski lagbhag 2500 se 3000 kisme puri duniya me milti hai, magar sare ke sare saap jaharile nahi hote.
Aayiye jante hai saapo se jude 21 hairan karne wale facts-

Saapo Ke Baare Me Janiye Adbhut 21 Facts

1 - Saap kisi bhi chij ko chabakar nahi khate balki sidhe nigal jaje hai. Saap mendhako, chipkaliyo, pakshiyo, chuho aur apne se chote saapo ko bhi khate hai. Afrika ka ajgar to chiti gaay ko bhi nigal jaata hai.


2 - Saap apni khurak roj nahi leta.
Balki yah hafte, mahine ya saal me ek baar hi bhojan karte hai.

3 - Saap apne jabde ke nichle hisse ko jameen se lagakar dharti se uthne wali tarango aur thodi shi halchal ko mahsus kar leta hai

Jisase bhukamp aur tsunami jaise vinashkari tufan ke baare me jaankari dene ki kshamta hoti hai.

4 -  Saapo ko pani ki jarurat bhi jyada nahi hoti. Yah apne shikar 
se hi pani prapt karte hai.

5 - Vaigyaniko ke anusar viper, ajgar aur boaa saap ke sir par do vishesh prakar ke chidr (surakh) paye jate hai. In chidro ke upar ek patali jhilli chadi hoti hai jo garmi ke prati bahut savedanshil hoti hai. Jhilli me kafi sankhya me tantrikaye payi jati hai. Is karan yah ang taapman aur durd ko mahsus karne me saksham hota hai.

6 - Ek aankdo ke anusar bharat me har saal 50 hajar log saap ke katne se mare jate hai jabki sarkari aankda matr 20 hajar ka hai.Iska mukhya karan hai na to bharat me paye jane wale jaharile saapo ke baare me jaruri jankari hai na hi usase bachav ke tarike malum hai.

7 - King cobra jaharile saapo me sabse lambe saap hote hai aur aamtaur par inki lambai 18 fit tak hoti hai. Inka jahar itna jyada ghatak hota hai ki uski matr 7 m.l matra 20 aadmi ya ek hati ko maar sakti hai.

8 - King cobra hi ek matr saap hai jo na keval ghonsla banata hai balki uski raksha bhi karta hai.
Kintu nar king cobra ghosale nahi banate. Ghosala sirf mada king cobra hi banati hai apne ando ko surakshit rakhne ke liye.

9 - Ham log sher jaise bhayankar janwar ko to thodi bahut traning dekar sikha sakte hai par saap ko nahi, aisa isliye hota hai kyon ki saap kuch sikh nahi sakte hai.

Unke dimag me anya jiv ki tarah cerebral  hemisfiar nahi paya jata hai. Dimag ka yahi hissa sikhane ki kriya ko niyantrit karta hai, saap ke dimag me yah hissa hi nahi hota, isliye wah kuch sikhte hi nahi  hai.

10 - Saap ko koi aawaz sunayi nahi deti. Saap bahare hote hai hawa me paida hone wali dhwani  tarango ka saap par koi prabhav nahi hota.  Been ki aawaz sunkar saap ka aana keval logo me faila bhram hai

11 - Ek saap apne muh se tin guna bade shikar ko kha sakta hai.

12 - Saap ki aankhon par palake nahi hoti hai. Palako ke sthan par ek patali aur pardarshi jhilli saap ki aankhon ki suraksha karti hai


13 - Bharat me saapo ki karib 300 kisme payi jaati hai


14 -  Bharat me har saal lagbhag 2.50 lakh log saap ke katne ka shikar hote hai jinme se karib 50000 logo ki maut ho jaati hai


15 - Sabse lamba saap python reticulatus hota hai jo 28 fit tak lamba ho sakta hai.

16- South Africa  me paye jane wale horned viper ke sar pe do sing hote hai.




17 - canada ke manitoda prant me har saal 30000 garter snake, sheet nidra ke baad, maiting (sambhog) ke liye ekttha hote hai. Yah is dharti par hone wali sabse badi Sex Orgy (samuhik sambhog kriya) hai.


18 - Saapo se juda ek aur mahatvpurn tathya yah hai ki saapo ki 70 % prajatiya hi ande deti hai baki ki 30 % prajatiya bachche paida karti hai.

19 - Brazil me sthit snake aailand, saapo ki sabse ghani aabadi wali jagah hai. Yaha par har varg mitar me panch saap rahate hai yani ki aapke singal bed jitni jagah me 10 saap aur double bed jitni jagah me 20 saap, wo bhi jaharile golden vit vyper

20 - Africa me paye jane wala black mamba snake sakshat yamraaj hai kyo ki iske dwara kate gaye logo me se 95% logo ki maut ho jati hai.

21 - Duniya ke 2 chote desh new zland island tatha antartica me saap nahi paye jate.

Aapko Ye Aartical Achcha Laga Ho To Apne Friends Ko Share Jarur Kare

Hindi me subkuch janane ke liye yaha par Click Kare

RELATED POST

1- RATO RAAT DAAT CHAMKAYE

2- MOBILE PAR BLOG WEBSITE BANANE KA TARIKA

3- 2 GHANTE ME ADSENSE ACCOUNT APPROVED KARNE KA TARIKA

4- FACEBOOK KA CHAMATKAR



                     Powered By Rahul Gahukar


0 Comments: